Translate

Tuesday, 11 June 2013

Yaadon ka ssath(Failure King)

Bheegi bheegi raat hai
sang teri yaad hai
tute sare vade hai
chuta tera sath hai
tanhayee kehti rahe
khamoshi shunti rahe
bheegi bheegi raato mein
sang teri yaad hai
kaise kahun tujhe mai
bahen har pal tujhe bulaye
ahen sirf tere liye uthe hai
 meri kayanat hai tu
meri dil ki rahat hai tu
tere bina nahin bajud koi mera
mere har pal mein sirf sath ho tera
kabhie toh ake sun re
kyu mujhko rulaye re
tu nahin aayi toh kya teri yaad sath hai
tere diye hue gham sath hai
ankhen jaane kyu phir bhi nam hai
aise lage bahen keh rahi hai mujhse
ki tu dur nahin mujhse
bahon mein teri ahat hai
phir bhi dil ko teri beintehan chahat hai
khuda se har pal meri mannat hai
har roz tujhse meri baat ho
tu mere sath ho
mera haal tujhko maloom ho
par puri na hue mannat meri toh kya
tu nahin mere paas hai toh kya
tujhko mera haal maloom ho na toh kya
par tujhse meri baat toh hoti hai na
tujhe mein mere ankhon ke samne dekh toh sakta hoon na
har pal har roz mere khayalon mein
mere sapno mein mere dino mein mere raaton mein
tu behki aas hai dil ke aas paas hai
aaj bhi tu itna hi khas hai
kya hua agar tera dil kisi aur ke paas hai ya nahin hai
tum kisi ke yaad mein raho ya na raho
mujhe kisse kya
hum toh ashiq hai
hum toh parwane hai
hum toh deewane hai
hume toh humko marwana hai
tadpana hai,rona hai
aur teri yaad mein har pal rehna hai
koi bhi aaye kuch bhi kahe
kitne bhi de de pehre kitne bhi de de salkhe
par mere dil ko na rok payege tere paas jaane se
na hi rok paya teri yaad ko tere sapne ko
mere paas aane se
kyu mere dil soche aaj bhi
ki tu nahin mujhse khafa
naahi tu hai bewafa
maine hi kho di hai tujhse milne ki meri raah
ek din ayega jab tujhe meri tadpayega
tu bhi dundega mujhe
aake milega mujhe
payega inhi bhulbhulaiyon mein teri yaad mein
teri raah mein
ihan se bahut door
jahan nahi tu hogi majboor
naahi mai
mai intezaar karuga
qayamat tak tujhse pyar karunge
chahe iske liye
mai rahun jaanat mein
ya phirrr..........dard ki sehlao mein....................
                                                                                    -The King lover (Kiran)

This poem dedicates to my best friend.......